Dhoop mein lo lagnay se mout kyun hoti hai ?

D hoop mein lo lagnay se mout kyun hoti hai ? hum sab dhoop mein ghumte hain lekin kuch logon ko dhoop lag jane ki wajah se achanak mout kyun ho jati hai ? 👉 hamaray jism ka darja hararat hamesha 37 ° degree centi grade hota hai, is darja hararat par hi hamaray jism ke tamam aaza sahih tareeqay se kaam kar paate hain . 👉 paseenay ke tor par pani bahar nikaal kar jism 37 ° centi grade darja hararat barqarar rakhta hai, musalsal paseena nikaltay waqt pani peetay rehna intehai mufeed aur zaroori hai . 👉 is ke ilawa bhi pani bohat kaar amad hai, jism mein pani ki kami honay par hamara jism paseenay ke zariye honay walay pani ke ikhraj ko rokta hai. ( yani band kar deta hai ) 👉 jab bahar darja hararat 45 ° degree se zayed ho jata hai aur jism ka cooling system thap ho jata hai, tab jism ka darja hararat 37 ° degree se ziyada honay lagta hai . 👉 jism ka darja hararat jab 42 ° centi grade tak pahonch jata hai tab khoon garam honay lagta hai aur khoon mein mojood protein pakna...